ahl-e-gham aao zara sair-e-gulistan kar len
gar KHizan hai to chalo shaghl-e-bahaaran kar len
phir to har samt andhera hi andhera hoga
pau phaTi hai to luTi bazm charaghan kar len
dil ki viraniyan aankhon mein uDati hain ghubar
mil ke ro len to kuchh un ko bhi farozan kar len
qahqahon se to ghuTan aur bhi baDh jaegi
aao chup rah ke hi is dard ka darman kar len
shayad is tarah bagulon ka guzar mumkin ho
apne virane ko kuchh aur bhi viran kar len
hum jo zinda hain to sab kahte hain kyun zinda hain
aao mar kar bhi masihaon ko hairan kar len
Ghazal
Ahl-e-gham aao zara sair-e-gulistan kar len
Parveen Fana Syed