ahl-e-dair-o-haram rah gae
tere diwane kam rah gae
miT gae manzilon ke nishan
sirf naqsh-e-qadam rah gae
hum ne har shai sanwari magar
un ki zulfon ke KHam rah gae
be-takalluf wo auron se hain
naz uThane ko hum rah gae
rind jannat mein ja bhi chuke
waiz-e-mohtaram rah gae
dekh kar teri taswir ko
aaina ban ke hum rah gae
ai 'fana' teri taqdir mein
sari duniya ke gham rah gae
Ghazal
Ahl-e-dair-o-haram rah gae
Fana Nizami Kanpuri