ahd-e-junun mein baiThe baiThe jo ghazlen likh Dali thin
hum ko ruswa duniya bhar ko pagal karne wali thin
aankhon mein wo sham ka TukDa aksar chubhta rahta hai
ghar mein aandhi jab aai thi shamen jalne wali thin
chand sitare TuT rahe the KHwabon ki angnai mein
aankh khuli to dekha ghar ki sab diwaren kali thin
chuTki bhar ummid nahin thi kasa le kar kya phirte
shahr-e-wafa ki sari galiyan apni dekhi-bhaali thin
pyar ka mausam bit chuka tha basti mein jab pahunche hum
logon ne phulon ke badle talwaren mangwa li thin
'qaisar' dil ka haal suna kar jab yaron ka munh dekha
sab ke chehre sukhe sukhe sab ki aankhen KHali thin
Ghazal
Ahd-e-junun mein baiThe baiThe jo ghazlen likh Dali thin
Qaisar-ul-Jafri