اردو हिंदी
Ahbab ho gae hain bahut mujhse bad-guman | Shaahi Shayari
ahbab ho gae hain bahut mujhse bad-guman

Ghazal

Ahbab ho gae hain bahut mujhse bad-guman

Tanveer Samani

;

ahbab ho gae hain bahut mujh se bad-guman
qainchi ki tarah chalne lagi hai meri zaban

ek baat meri un ki tawajjoh na pa saki
kahte the log hote hain diwar ke bhi kan

khiDki ko khol kar to kisi roz jhank lo
KHali hai aaj-kal mere ehsas ka makan

tanha udas kamre mein baiTha hua tha main
ek lafz ne bikher diye mushk o zafran

pani ka ruKH badalne ko mare hath panw
ek aadmi jo KHud ko batata raha chaTan

KHud ko sambhaal paega main kis tarah kahun
sukha daraKHt tez hawaon ke darmiyan

ek din mein apne ghar ke khuli chhat pe chaDh gaya
mujh ko zamin par nazar aaya ek aasman