agarche roz-e-azal bhi yahi andhera tha
teri jabin se nikalta hua sawera tha
pahunch saka na main bar-waqt apni manzil par
ki raste mein mujhe rahbaron ne ghera tha
teri nigah ne thoDi si raushni kar di
wagarna arsa-e-kaunain mein andhera tha
ye kaenat aur itni sharab-aluda
kisi ne apna KHumar-e-nazar bikhera tha
sitare karte hain ab us gali ke gird tawaf
jahan 'adam' mere mahbub ka basera tha
Ghazal
Agarche roz-e-azal bhi yahi andhera tha
Abdul Hamid Adam