agarche koi bhi andha nahin tha
likha diwar ka paDhta nahin tha
kuchh aisi barf thi us ki nazar mein
guzarne ke liye rasta nahin tha
tumhi ne kaun si achchhai ki hai
chalo mana ki main achchha nahin tha
khuli aankhon se sari umr dekha
ek aisa KHwab jo apna nahin tha
main us ki anjuman mein tha akela
kisi ne bhi mujhe dekha nahin tha
sahar ke waqt kaise chhoD jata
tumhaari yaad thi sapna nahin tha
khaDi thi raat khiDki ke sirhane
dariche mein wo chand utra nahin tha
dilon mein girne wale ashk chunta
kahin ek jauhari aisa nahin tha
kuchh aisi dhup thi un ke saron par
KHuda jaise gharibon ka nahin tha
abhi harfon mein rang aate kahan se
abhi main ne use likkha nahin tha
thi puri shakl us ki yaad mujh ko
magar main ne use dekha nahin tha
barahna KHwab the suraj ke niche
kisi ummid ka parda nahin tha
hai 'amjad' aaj tak wo shaKHs dil mein
ki jo us waqt bhi mera nahin tha
Ghazal
Agarche koi bhi andha nahin tha
Amjad Islam Amjad