agarche kar-e-duniya kuchh nahin hai
magar is ke alawa kuchh nahin hai
agar dharti pe baadal hi na barsen
to ye dariya akela kuchh nahin hai
bahut naraaz hain ek dusre se
magar donon mein jhagDa kuchh nahin hai
ye jo kuchh ho raha hai shahr bhar mein
tamasha hai tamasha kuchh nahin hai
ye main hun jo badal jata hun har roz
zamane mein badalta kuchh nahin hai
agar jholi na phailai gai ho
to wo bedard deta kuchh nahin hai
ye duniya hai yunhi chalti rahegi
mere hone se hona kuchh nahin hai
Ghazal
Agarche kar-e-duniya kuchh nahin hai
Shahzad Ahmad