agarche ishq mein ek be-KHudi si rahti hai
magar wo nind bhi jagi hui si rahti hai
wahi to wajh-e-taaruf hai koi kya jaane
ada ada mein jo ek be-ruKHi si rahti hai
baDi ajib hai shab-ha-e-gham ki zulmat bhi
diye jalao magar tirgi si rahti hai
hazar dard-e-faraez hain aur dil-e-tanha
mere KHulus ko sharmindagi si rahti hai
'shamim' KHun-e-jigar se ubhaariye lekin
har ek naqsh mein koi kami si rahti hai

Ghazal
Agarche ishq mein ek be-KHudi si rahti hai
Shamim Karhani