agar yun hi ye dil satata rahega 
to ek din mera ji hi jata rahega 
main jata hun dil ko tere pas chhoDe 
meri yaad tujh ko dilata rahega 
gali se teri dil ko le to chala hun 
main pahunchunga jab tak ye aata rahega 
jafa se gharaz imtihan-e-wafa hai 
tu kah kab talak aazmata rahega 
qafas mein koi tum se ai ham-safiro 
KHabar gul ki hum ko sunata rahega 
KHafa ho ke ai 'dard' mar to chala tu 
kahan tak gham apna chhupata rahega
        Ghazal
Agar yun hi ye dil satata rahega
Khwaja Meer u0027Dardu0027

