agar ye rangini-e-jahan ka wajud hai aks-e-asman se
to phir ruKH-e-sham-o-aina par khila hai ye rang-e-KHun kahan se
ruke rahenge fasil-e-zulmat ke daere par sabhi musafir
magar kisi KHwab ke jilau mein charagh niklega karwan se
ruki hui hai jo ek mauj-e-sarab ki sath par ye duniya
to main bhi us KHwab ke nagar ka subut launga dastan se
ye aaina jama kar raha hai nae jahazon ke aks lekin
ye aab-ju qata kar rahi hai kisi sitare ko darmiyan se
ye sach hai mil baiThne ki had tak to kaam aai hai KHush-gumani
magar dilon mein ye dosti ki numud hai rahat-e-bayan se
musafir-e-KHwab ke liye hain ye meri aankhon ke phul 'sajid'
aur ek sitare ke dekhne ko ye aag utri hai shama-dan se
Ghazal
Agar ye rangini-e-jahan ka wajud hai aks-e-asman se
Ghulam Husain Sajid