agar yaqin nahin aata to aazmae mujhe
wo aaina hai to phir aaina dikhae mujhe
ajab charagh hun din raat jalta rahta hun
main thak gaya hun hawa se kaho bujhae mujhe
main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki
bikhar gaya hun to ab ret se uThae mujhe
bahut dinon se main in pattharon mein patthar hun
koi to aae zara der ko rulae mujhe
main chahta hun ki tum hi mujhe ijazat do
tumhaari tarah se koi gale lagae mujhe
Ghazal
Agar yaqin nahin aata to aazmae mujhe
Bashir Badr