agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe
tajjub nahin ki sab pani sati bu-e-gulab aawe
jidhan dekhun bahaaran mein nashat-e-bulbul-o-qumri
mujhe us waqt be-shak yaad ayyam-e-shabab aawe
mera afsana o afsun tere kan sabz kyunke ho
siyah mizhgan tumhaari dekh ke sabze kun KHwab aawe
meri ankhiyan phaDakti hain yaqin hai dil manin yaran
ki name kun piyare ke kabutar le shitab aawe
siyah-mastan ke aage sin nikalna hai nipaT mushkil
agar hoshyar tujh ankhiyan ke tain dekhe KHarab aawe
darang ek dam nahin lazim judai sin phaDakta hai
kaho ja kar KHush-abru kun ki 'yakru' kan shitab aawe
Ghazal
Agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe
Abdul Wahab yakro