agar wo apne hasin chehre ko bhul kar be-naqab kar de
to zarre ko mahtab aur mahtab ko aaftab kar de
teri mohabbat ki wadiyon mein meri jawani se dur kya hai
jo sada pani ko ek nashili nazar mein rangin sharab kar de
harim-e-ishrat mein sone wale shamim-e-gesu ki mastiyon se
meri jawani ki sada raaton ko ab to sarshaar KHwab kar de
maze wo pae hain aarzu mein ki dil ki ye aarzu hai yarab
tamam duniya ki aarzuen mere liye intiKHab kar de
nazar na aane pe hai ye haalat ki jang hai shaiKH-o-barahman mein
KHabar nahin kya se kya ho duniya jo KHud ko wo be-naqab kar de
mere gunahon ki shorishen is liye ziyaada rahi hain yarab
ki in ki gustaKHiyon se tu apne afw ko be-hisab kar de
KHuda na lae wo din ki teri sunahri nindon mein farq aae
mujhe to yun apne hijr mein umr bhar ko bezar-e-KHwab kar de
main jaan-o-dil se tasawwur-e-husn-e-dost ki mastiyon ke qurban
jo ek nazar mein kisi ke be-kaif aansuon ko sharab kar de
urus-e-fitrat ka ek khoya hua tabassum hai jis ko 'aKHtar'
kahin wo chahe sharab kar de kahin wo chahe shabab kar de
Ghazal
Agar wo apne hasin chehre ko bhul kar be-naqab kar de
Akhtar Shirani