اردو हिंदी
Agar tu sath chal paDta safar aasan ho jata | Shaahi Shayari
agar tu sath chal paDta safar aasan ho jata

Ghazal

Agar tu sath chal paDta safar aasan ho jata

Abrar Hamid

;

agar tu sath chal paDta safar aasan ho jata
KHushi se umr bhar jine ka ek saman ho jata

na ja kar kyun jatata hai jo jaana tha chala jata
bahut hota to ye hota ki main hairan ho jata

jo meri samt tu do gam bhi hans kar chala aata
main tere aur tu mere liye iman ho jata

KHushi se mujh pe kya jaane guzar jaani thi phir 'hamid'
ghaDi pal ko bhi tu mujh par jo kuchh qurban ho jata