agar na zohra-jabinon ko be-wafa kahiye
to phir taghaful-e-paiham pe un ko kya kahiye
huzur kyun meri har baat na-rawa kahiye
bura hun main to yaqinan mujhe bura kahiye
hasin yun to zamane mein kaj-ada hain sabhi
magar sawal ye hai kis ko kaj-ada kahiye
KHamoshiyon pe jafaon ka jab ye aalam hai
to phir hasinon se kis tarah muddaa kahiye
jo luT hi jaana ba-har-haal hai maal-e-safar
to kyun na rahzan-e-manzil ko rahnuma kahiye
yahi wafa ka hai dastur bhi taqaza bhi
ki har jafa ko sitamgar ki ada kahiye
buton ko shauq-e-KHudai hua hai ai 'muslim'
janab aap bhi patthar ko ab KHuda kahiye
Ghazal
Agar na zohra-jabinon ko be-wafa kahiye
Muslim Ansari