agar na zohra-jabinon ke darmiyan guzre
to phir ye kaise kaTe zindagi kahan guzre
jo tere aariz o gesu ke darmiyan guzre
kabhi kabhi wahi lamhe bala-e-jaan guzre
mujhe ye wahm raha muddaton ki jurat-e-shauq
kahin na KHatir-e-masum par giran guzre
har ek maqam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha
magar hum ahl-e-mohabbat kashan kashan guzre
junun ke saKHt marahil bhi teri yaad ke sath
hasin hasin nazar aae jawan jawan guzre
meri nazar se teri justuju ke sadqe mein
ye ek jahan hi nahin sainkaDon jahan guzre
hujum-e-jalwa mein parwaz-e-shauq kya kahna
ki jaise ruh sitaron ke darmiyan guzre
KHata-muaf zamane se bad-guman ho kar
teri wafa pe bhi kya kya hamein guman guzre
mujhe tha shikwa-e-hijran ki ye hua mahsus
mere qarib se ho kar wo na-gahan guzre
rah-e-wafa mein ek aisa maqam bhi aaya
ki hum KHud apni taraf se bhi bad-guman guzre
KHulus jis mein ho shamil wo daur-e-ishq-o-hawas
na raegan kabhi guzra na raegan guzre
usi ko kahte hain jannat usi ko dozaKH bhi
wo zindagi jo hasinon ke darmiyan guzre
bahut hasin manazir bhi husn-e-fitrat ke
na jaane aaj tabiat pe kyun giran guzre
wo jin ke sae se bhi bijliyan larazti thin
meri nazar se kuchh aise bhi aashiyan guzre
mera to farz chaman-bandi-e-jahan hai faqat
meri bala se bahaar aae ya KHizan guzre
kahan ka husn ki KHud ishq ko KHabar na hui
rah-e-talab mein kuchh aise bhi imtihan guzre
bhari bahaar mein taraji-e-chaman mat puchh
KHuda kare na phir aankhon se wo saman guzre
koi na dekh saka jin ko wo dilon ke siwa
muamlat kuchh aise bhi darmiyan guzre
kabhi kabhi to isi ek musht-e-KHak ke gird
tawaf karte hue haft aasman guzre
bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar
wo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre
abhi se tujh ko bahut nagawar hain hamdam
wo hadsat jo ab tak rawan-dawan guzre
jinhen ki dida-e-shair hi dekh sakta hai
wo inqilab tere samne kahan guzre
bahut aziz hai mujh ko unhen kya yaad 'jigar'
wo hadsat-e-mohabbat jo na-gahan guzre
Ghazal
Agar na zohra-jabinon ke darmiyan guzre
Jigar Moradabadi