agar mauj hai bich dhaare chala chal
wagarna kinare kinare chala chal
isi chaal se mere pyare chala chal
guzarti hai jaise guzare chala chal
tujhe sath dena hai bahrupiyon ka
nae se naya rup dhaare chala chal
KHuda ko na taklif de Dubne mein
kisi naKHuda ke sahaare chala chal
pahunch jaenge qabr mein panw tere
pasare chala chal pasare chala chal
ye upar ka tabqa KHala hi KHala hai
hawa o hawas ke ghubare chala chal
Duboya hai tu ne haya ka safina
mere dost sina ubhaare chala chal
musalsal buton ki tamanna kiye ja
musalsal KHuda ko pukare chala chal
yahan to bahr-e-haal jhukna paDega
nahin to kisi aur dware chala chal
tujhe to abhi der tak khelna hai
isi mein to hai jit haare chala chal
na de fursat-e-dam-zadan o zamane
nae se naya tir mare chala chal
shab-e-tar hai ta-ba-subh-e-qayamat
muqaddar hai gardish sitare chala chal
kahan se chala tha kahan tak chalega
chala chal masafat ke mare chala chal
basirat nahin hai to sirat bhi kyun ho
faqat shakl o surat sanware chala chal
'hafiz' is nae daur mein tujh ko fan ka
nasha hai to pyare utare chala chal
Ghazal
Agar mauj hai bich dhaare chala chal
Hafeez Jalandhari