agar marte hue lab par na tera nam aaega
to main marne se dar-guzra mere kis kaam aaega
use bhi Than rakh saqi yaqin hoga na rindon ko
agar zahid pahan kar jama-e-ehram aaega
shab-e-furqat mein dard-e-dil se main us waste KHush hun
zaban par raat bhar rah rah ke tera nam aaega
lagi ho kuchh to qasid aaKHir is kam-baKHt dil mein bhi
wahan teri tarah jo jaega nakaam aaega
isi ummid mein bandhe hue hain TakTaki mai-kash
kaf-e-nazuk pe saqi rakh ke ek din jam aaega
yahan apni paDi hai tujh se ai gham-KHwar kya uljhun
ye kaun aaram hai mar jaun tab aaram aaega
zahe izzat jo ho is bazm mein mazkur ai waiz
bala se gar gunahgaron mein apna nam aaega
hazar inkar ya qat-e-talluq us se kar naseh
magar hir-phir ke honTon par usi ka nam aaega
ata ki jab ki KHud pir-e-mughan ne pi bhi le zahid
ye kaisa sochna hai tujh pe kyun ilzam aaega
paDa hai silsila taqdir ka sayyaad ke bas mein
chaman mein ai saba kyunkar asir-e-dam aaega
koi badmast ko deta hai saqi bhar ke paimana
tera kya jaega mujh par abas ilzam aaega
unhen dekhegi tu ai chashm-e-hasrat wasl mein ya main
tere kaam aaega rona ki mere kaam aaega
hamesha kya piyunga main isi kohna-sifali main
mere aage kabhi to saghar-e-zarfam aaega
kahan se laun sabr-e-hazrat-e-ayyub ai saqi
KHum aaega surahi aaegi tab jam aaega
chhuri thi kund teri ya tere qatil ki o bismil
taDap bhi tu teri gardan pe kyun ilzam aaega
yahi kah kar ajal ko qarz-KHwahon ki tarah Tala
ki le kar aaj qasid yar ka paigham aaega
hamesha kya yun hi qismat mein hai ginti gina dena
koi nala na lab par laiq-e-anjam aaega
gali mein yar ki ai 'shad' sab mushtaq baiThe hain
KHuda jaane wahan se hukm kis ke nam aaega
Ghazal
Agar marte hue lab par na tera nam aaega
Shad Azimabadi