agar kuchh moD raste mein na aate
to mumkin tha tujhe hum bhul jate
mata-e-hosh ki bazi laga kar
bisat-e-ishq pe hum haar jate
kahan mazi kahan imroz-o-farda
kahan se dastan apni sunate
ghurur-e-zabt se pahlu bacha kar
tumhin ko dosto hum aazmate
agar hota na kuchh KHud par bharosa
tumhein ai 'dard' hum mahram banate

Ghazal
Agar kuchh moD raste mein na aate
Vishvanath Dard