agar KHu-e-tahammul ho to koi gham nahin hota
gile shikwe se rang-e-zindagi kuchh kam nahin hota
bujhi jati hain shamen rahguzar-e-zindagani ki
charagh-e-arzu lekin kabhi maddham nahin hota
KHuda ke samne jo sar yaqin ke sath jhuk jae
kisi taqat ke aage phir kabhi wo KHam nahin hota
ata ki hai KHuda ne ilm ki daulat agar tujh ko
saKHawat kar saKHawat ye KHazana kam nahin hota
siyasat juzw-e-iman hai chalo yunhi sahi lekin
koi murshid mizaj-e-waqt ka mahram nahin hota
uruj-e-paikar-e-KHaki se hai insaniyat larzan
fasad o sarkashi se pak ye aalam nahin hota
suno aazadi-e-insan ka dhonsa piTne walo
har ek insan wajh-e-azmat-e-adam nahin hota
ba-qadr-e-zarf-o-himmat hai rasai fikr-e-insan ki
har ek aami rumuz-e-mulk ka mahram nahin hota

Ghazal
Agar KHu-e-tahammul ho to koi gham nahin hota
Wasif Dehlvi