agar itna na tu ayyar hota
to dushman ka na hargiz yar hota
dui ka naqsh miTta dil se ai kash
mai-e-wahdat se main sarshaar hota
jo hote aaj-kal qais aur farhad
main un ka qafila-salar hota
na hota gar tera talib jahan mein
to main paband-e-nang-o-ar hota
lagae chaT par hain us ko dushman
ilahi main bhi kuchh zardar hota
agar hota mujhe pas aabru ka
na tera aashiq-e-didar hota
taDapta hai qafas mein tair-e-dil
nikal jata agar par-dar hota
tamanna dil ki 'saqi' jab nikalti
agar munh se na kuchh izhaar hota
Ghazal
Agar itna na tu ayyar hota
Pandit Jawahar Nath Saqi