agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae
to phir sab kuchh ba-juz nam-e-KHuda tabdil ho jae
mere hone ne duniya mein sabhi kuchh to badal Dala
mujhe tu hi bata ab aur kya tabdil ho jae
mujhe is ki KHabar tak bhi na hone pae aur ek din
safar ke darmiyan yun rasta tabdil ho jae
ajab KHwahish hai sar se aasman ka saya uTh jae
zamin aab-e-rawan mein zer-e-pa tabdil ho jae
tilism-e-KHwab se aankhen agar aazad ho jaen
to zinda rahne ka sara maza tabdil ho jae
Ghazal
Agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae
Obaid Siddiqi