اردو हिंदी
Agar gham tera gham hai to koi gham se riha kyun ho | Shaahi Shayari
agar gham tera gham hai to koi gham se riha kyun ho

Ghazal

Agar gham tera gham hai to koi gham se riha kyun ho

Shaukat Thanvi

;

agar gham tera gham hai to koi gham se riha kyun ho
jise hasil ho tera qurb wo tujh se juda kyun ho

ye hasti-o-adam kyun ho fana kyun ho baqa kyun ho
tumhin-tum ho to phir dil mein KHayal-e-ma-siwa kyun ho

wafa mein be-wafai be-wafai mein wafa kaisi
wafa ho to jafa kyun ho jafa ho to wafa kyun ho

natija kuchh nahin hai shama ke aansu bahane se
ye sarf-e-be-mahal aashiq ka aaKHir KHun-baha kyun ho

tumhaari bewafai kya sanad hai sari duniya ko
hue tum bewafa to umr meri bewafa kyun ho

KHuda na-karda main aur kaamyabi ghair mumkin hai
jo bar aae kisi surat wo mera muddaa kyun ho

asar se dil ke barham kyun nizam-e-dahr ho jae
hum is se be-wafa kyun hon wo hum se ba-wafa kyun ho

sarasar zulm hai is baat mein tum se gila mera
rida rakkho jise tum phir wo zulm-e-na-rawa kyun ho

yahin tayyar hain jo kuchh kaho jo hukm farmao
hamare jurm par pabandi-e-roz-e-jaza kyun ho

yahi kafi hai marne ke liye ye bhi bahana hai
zarurat kya hai aaKHir dard-e-dil us se siwa kyun ho

zaban KHamosh hai lab band hain himmat shikasta hai
dua se hath uThae hain to ab koi dua kyun ho

main khona chahta hun madd-o-jazr-e-bahr mein 'shaukat'
wo sahil-ashna kashti ka meri na-KHuda kyun ho