اردو हिंदी
Agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae | Shaahi Shayari
agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae

Ghazal

Agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae

Mahirul Qadri

;

agar fitrat ka har andaz bebakana ho jae
hujum-e-rang-o-bu se aadmi diwana ho jae

karam kaisa sitam se bhi na wo begana ho jae
main Darta hun mohabbat mein kahin aisa na ho jae

mujhe us anjuman mein bar pa kar is pe KHadsha hai
mera andaz-e-betabi na gustaKHana ho jae

nigah-e-mast saqi ki tilism-e-rang-o-masti hai
kahin paimana ban jae kahin mai-KHana ban jae

yahan bhi kuchh nigahen tishna-e-didar hain saqi
idhar bhi ek daur-e-nargis-e-mastana ho jae

main us mahfil ki tohmat kis tarah aaKHir uThaunga
KHamoshi bhi jahan afsana-dar-afsana ho jae

naqab ulTe hue ek roz agar wo KHud chale aaen
siyah-KHana mera 'mahir' tajalli-KHana ho jae