agar dil waqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota
zamane ki do-rangi ka use hargiz na gham hota
ye paband-e-musibat dil ke hathon hum to rahte hain
nahin to chain se kaTti na dil hota na gham hota
unhin ki be-wafai ka ye hai aaThon-pahar sadma
wahi hote jo qabu mein to phir kahe ko gham hota
lab-o-chashm-e-sanam gar dekhne pate kahin shair
koi shirin-suKHan hota koi jadu-raqam hota
bahut achchha hua aae na wo meri ayaadat ko
jo wo aate to ghair aate jo ghair aate to gham hota
agar qabren nazar aatin na dara-o-sikandar ki
mujhe bhi ishtiyaq-e-daulat-o-jah-o-hasham hota
liye jata hai josh-e-shauq hum ko rah-e-ulfat mein
nahin to zoaf se dushwar chalna do-qadam hota
na rahne pae diwaron mein rauzan shukr hai warna
tumhein to dil-lagi hoti gharibon par sitam hota
Ghazal
Agar dil waqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota
Akbar Allahabadi