اردو हिंदी
Agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate | Shaahi Shayari
agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate

Ghazal

Agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate

Azm Shakri

;

agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate
mohabbat karne wale dal pareshani mein aa jate

hisar-e-sabr se jis roz main bahar nikal aata
samundar KHud meri aaankhon ki virani mein aa jate

agar sae se jal jaane ka itna KHauf tha to phir
sahar hote hi suraj ki nigahbani mein aa jate

junun ki azmaton se aashnai hi na thi warna
jo the ahl-e-KHirad sab chaak-damani mein aa jate

kisi zardar ki yun naz-bardari se behtar tha
kisi ujDe hue dil ki bayabani mein aa jate