agar chubhti hui baaton se Darna paD gaya to
mohabbat se kabhi tumko mukarna paD gaya to
teri bikhri hui duniya sameTe ja raha hun
agar mujhko kisi din KHud bikharna paD gaya to
zaKHira pusht par bandha nahin tumne hawa ka
kahin gahre samundar mein utarna paD gaya to
wo mujhse dur hota ja raha hai rafta rafta
agar us ko kabhi mahsus karna paD gaya to
tum is raste mein kyun barud boe ja rahe ho
kisi din is taraf se KHud guzarna paD gaya to
bana rakha hai mansuba kai barson ka tu ne
agar ek din achanak tujhko marna paD gaya to
tumhaari zid hai 'asim' wo nikhaare husn apna
agar us ke liye tum ko sanwarna paD gaya to
Ghazal
Agar chubhti hui baaton se Darna paD gaya to
Asim Wasti