agar chhuTa bhi us se aaina-KHana to kya hoga
wo uljhe hi rahenge zulf mein shana to kya hoga
bhala ahl-e-junun se tark virana to kya hoga
KHabar aaegi un ki un ka ab aana to kya hoga
sune jao jahan tak sun sako jab nind aaegi
wahin hum chhoD denge KHatm afsana to kya hoga
andheri raat zindan panw mein zanjir-e-tanhai
is aalam mein mar jaega diwana to kya hoga
abhi to mutmain ho zulm ka parda hai KHamoshi
agar kuchh munh se bol uThTha ye diwana to kya hoga
janab-e-shaiKH hum to rind hain chullu salamat hai
jo tum ne toD bhi Dala ye paimana to kya hoga
yahi hai gar KHushi to raat bhar ginte raho tare
'qamar' is chandni mein un ka ab aana to kya hoga
Ghazal
Agar chhuTa bhi us se aaina-KHana to kya hoga
Qamar Jalalvi