agar charagh bhi aandhi se Dar gae hote 
to sochiye ki ujale kidhar gae hote 
ye mere dost mere chaara-gar mere ahbab 
na chheDte to mere zaKHm bhar gae hote 
koi nigah jo apni bhi muntazir hoti 
to hum bhi sham Dhale apne ghar gae hote 
agar wo meri ayaadat ko aa gaya hota 
to doston ke bhi chehre utar gae hote 
hamein to shauq-e-suKHan ne sameT rakkha hai 
wagarna hum to kabhi ke bikhar gae hote 
unhen bhi mujh se mohabbat to hai 'nafas' lekin 
main puchhta to yaqinan mukar gae hote
        Ghazal
Agar charagh bhi aandhi se Dar gae hote
Nafas Ambalvi

