afsana chahte the wo afsana ban gaya
main husn-e-ittifaq se diwana ban gaya
wo ek nigah dekh ke KHud bhi hain sharmsar
na-agahi mein yunhi ek afsana ban gaya
mauj-e-hawa se zulf jo lahra gai teri
mera shuur laghzish-e-mastana ban gaya
husn ek iKHtiyar-e-mukammal hai aap ne
diwana kar diya jise diwana ban gaya
zikr us ka guftugu mein jo shamil hua 'adam'
jo sher kah diya wo pari-KHana ban gaya
Ghazal
Afsana chahte the wo afsana ban gaya
Abdul Hamid Adam