ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka
hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka
bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua
hazar haif ki nikla na jo sila dil ka
jo ye nishana uDa do to samjhen tir-fagan
bahut hai nawak-e-mizhgan se fasla dil ka
ilahi KHair ho kuchh aaj rang be-Dhab hai
Tapak raha hai kai din se aabla dil ka
chala hai chhoD ke tanha kidhar tasawwur-e-yar
shab-e-firaq mein tha tujh se mashghala dil ka
wo rind hun ki mujhe hathkaDi se baiat hai
bala hai gesu-e-jaanan se silsila dil ka
phira jo kucha-e-kakul se koi puchhenge
suna hai luT gaya raste mein qafila dil ka
ummid-e-subh mein karta hun chaak daman-e-shab
junun mein rose nikala hai mashghala dil ka
wo zulm karte hain hum par to log kahte hain
KHuda bure se na Dale moamla dil ka
hazar fasl-e-gul aae junun wo josh kahan
gaya shabab ke hamrah walwala dil ka
KHuda ke hath hai apna ab ai 'qalaq' insaf
buton se hashr mein hoga muqabla dil ka
Ghazal
Ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
Arshad Ali Khan Qalaq