ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thera hai faisla dil ka
wo zulm karte hain mujh par to log kahte hain
KHuda bure se na Dale moamla dil ka
phira jo kucha-e-kakul se koi puchhenge
suna hai luT gaya raste mein qafila dil ka
hazar fasl-e-gul aae junun wo josh kahan
gaya shabab ke hamrah walwala dil ka
bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua
hazar haif ki nikla na hausla dil ka
ilahi KHair ho kuchh aaj rang be-Dhab hai
tapak raha hai kai din se aabla dil ka
KHuda ke hath hai ab apna ai 'qalaq' insaf
buton se hashr mein hoga muqabla dil ka
Ghazal
Ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
aaftaab-ud-Daula Lakhnavi Qalaq