ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya
main zindagi ka dete dete sud KHatm ho gaya
na jaane kaun si ada buri lagi thi ruh ko
badan ka phir tamam khel-kud KHatm ho gaya
muahade zamir se to kar liye gae magar
masarraton ka daura-e-wafud KHatm ho gaya
badan ki aastin mein ye ruh sanp ban gai
wajud ka yaqin hua wajud KHatm ho gaya
bas ek nigah Dal kar main chhup gaya KHalaon mein
phir is ke baad barf ka jumud KHatm ho gaya
majaz ka sunahra husn chha gaya nigah par
khuli jo aankh jalwa-e-shuhud KHatm ho gaya
Ghazal
Ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya
Faryad Aazar