achchhi lagin kitabon mein baaten usul ki
un par amal kiya hai yahi hum ne bhul ki
saleh riwayaton pe bhi aane laga zawal
qimat baDhi hai in dinon kaghaz ke phul ki
bachchon ke ruKH pe dekhi hai mayusiyon ki gard
jab KHali hath ghar mein pahunchne ki bhul ki
ek aarzu ne Dal diya hai azab mein
kab tak saza milegi mujhe ek bhul ki
wo apne aap mil gaya taqdir mein jo tha
hum ne tamam umr-e-tag-o-dau fuzul ki
hum ne to intizar mein umren guzar din
saat na aai husn-e-karam ke nuzul ki
eazaz pane walon mein kyun mera nam ho
'mehdi' jo ye zakat na main ne qubul ki

Ghazal
Achchhi lagin kitabon mein baaten usul ki
Mehdi Pratapgarhi