achchhi guzar rahi hai dil-e-KHud-kafil se
langar se roTi lete hain pani sabil se
duniya ka koi dagh mere dil ko kya lage
manga na ek diram bhi kabhi is baKHil se
kya boriya-nashin ko hawas taj o taKHt ki
kya KHak-ashna ko gharaz asp o fil se
dil ki taraf se hum kabhi ghafil nahin rahe
karte hain pasbani-e-shahr us fasil se
gahwara-e-safar mein khuli hai hamari aankh
tamir apne ghar ki hui sang-e-mil se
ek shaKHs baadshah to ek shaKHs hai wazir
goya nahin hain donon hamari qabil se
duniya mere paDos mein aabaad hai magar
meri dua-salam nahin us zalil se
'jawed' ek gham ke siwa dil mein hai bhi kya
hum ghar chala rahe hain mata-e-qalil se
Ghazal
Achchhi guzar rahi hai dil-e-KHud-kafil se
Ahmad Javed