achchha hua ye waqt to aana zarur tha
muddat se kashmakash mein dil-e-na-subur tha
duniya ka hoshiyar baDa zi-shuur tha
jab tak mere kahe mein dil-e-na-subur tha
mera qusur meri nazar ka qusur tha
wo jis qadar qarib tha utna hi dur tha
achchha hua jo dil ki taDap aur baDh gai
jaana bhi un ki bazm mein mujh ko zarur tha
us be-nishan ka aaj nishan DhunDte hain aap
suniye wahi jo nazish-e-ahl-e-qubur tha
wo daur meri umr ka tha yaadgar daur
jis mein ki tere husn pe mujh ko ghurur tha
le aaya kaun gor-e-ghariban mein khinch kar
koson abhi main manzil-e-maqsad se dur tha
waiz ne zikr-e-wada-e-firdaus kyun kiya
us rind se jo nashsha-e-wahdat se chur tha
ab aa ke meri lash se farma rahe hain wo
'alim' ye teri aql-o-farasat se dur tha
Ghazal
Achchha hua ye waqt to aana zarur tha
Mirza Altaf Husain Alim Lucknwi