achchha hai un se koi taqaza kiya na jae
apni nazar mein aap ko ruswa kiya na jae
hum hain tera KHayal hai tera jamal hai
ek pal bhi apne aap ko tanha kiya na jae
uThne ko uTh to jaen teri anjuman se hum
par teri anjuman ko bhi suna kiya na jae
un ki rawish juda hai hamari rawish juda
hum se to baat baat pe jhagDa kiya na jae
har-chand e'tibar mein dhoke bhi hain magar
ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jae
lahja bana ke baat karen un ke samne
hum se to is tarah ka tamasha kiya na jae
inam ho KHitab ho waise mile kahan
jab tak sifarishon ko ikaTTha kiya na jae
is waqt hum se puchh na gham rozgar ke
hum se har ek ghunT ko kaDwa kiya na jae
Ghazal
Achchha hai un se koi taqaza kiya na jae
Jaan Nisar Akhtar