abru to dikha dijiye shamshir se pahle
taqsir to kuchh ho meri tazir se pahle
malum hua ab meri qismat mein nahin tum
milna tha mujhe katib-e-taqdir se pahle
ai dast-e-junun toD na darwaza-e-zindan
main puchh to lun panw ki zanjir se pahle
achchha hua aaKHir meri qismat mein sitam the
tum mil gae mujh ko falak-e-pir se pahle
baiThe raho aisi bhi musawwir se haya kya
kahe ko khinche jate ho taswir se pahle
dekho to 'qamar' un ko bula kar shab-e-wada
taqdir pe barham na ho tadbir se pahle
Ghazal
Abru to dikha dijiye shamshir se pahle
Qamar Jalalvi