abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai
jitni kasai saif ye kasti chali gai
pesh-e-nazar hasinon ki basti chali gai
aaine ki bhi husn-parasti chali gai
achchha kiya sharab KHuda ne haram ki
rindon ke sath baada-parasti chali gai
kis shahr se misal dun aqlim-e-ishq ko
jitni ye ujDi aur bhi basti chali gai
roze mah-e-siyam mein toDe sharab se
hum faqa-maston ki wahi masti chali gai
wahshat-kade se rahmat-e-haq ne bhi ki gurez
badle hamare ghar se barasti chali gai
khain KHuda ki rah mein lakhon hi Thokaren
ta-la-makan bulandi-o-pasti chali gai
maston ne tark-e-mai ki qasam khai hai to kya
tauba kahan wo baat jo masti chali gai
in abruon ne ek ishaare mein jaan li
yak-dast teri tegh-e-do-dasti chali gai
dil hi gaya to kaun buton ka kare KHayal
kabe ke sath sang parasti chali gai
hai aasman tak tere giryan ka mazhaka
bijli bhi rote dekh ke hansti chali gai
go dil ke badle daulat-e-duniya-o-din mili
to bhi ye jins hath se sasti chali gai
dagh-e-sharab daman-e-taqwa mein rah gaya
nashshe ko ruh-e-shaiKH tarasti chali gai
tahtus-sara ko pahunchi hamari farotani
hum jitne past ho gae pasti chali gai
kyun kar ho ijtima-e-naqizain ai 'munir'
aate hi maut ke meri hasti chali gai
Ghazal
Abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai
Muneer Shikohabadi