abr likhti hai kahin aur ghaTa likhti hai
roz ek zaKHm mere nam hawa likhti hai
zard patton ki chamakti hui peshani par
hai koi nam jise baad-e-saba likhti hai
jo mere nam se mansub nahin hai lekin
wo fasana bhi mera KHalq-e-KHuda likhti hai
ai meri jaan mohabbat bhi ajab shai hai ki jo
kucha-e-gard-e-malamat ko wafa likhti hai
sun kisi TuTe hue dil ka wo nauha to nahin
naghma-e-gul ki jise dast-e-saba likhti hai
ek tamanna ke liye phirti hai sahra sahra
zindagi roz koi KHwab naya likhti hai
shab ke sannaTe mein ek man ki chhalakti hui aankh
apne pyaron ke liye harf-e-dua likhti hai
'shahid' us ko main sunata hun purani ghazlen
wo mere nam se kuchh sher naya likhti hai
Ghazal
Abr likhti hai kahin aur ghaTa likhti hai
Shahid Kamal