abr ka sar pe saeban bhi to ho
sohbat yaad-e-raftagan bhi to ho
TuTe kaise yahan sukut-e-suKHan
shahr mein koi ham-zaban bhi to ho
chand-tare liye kahan Tanken
apne hisse mein aasman bhi to ho
mez gul-dan titliyan khiDki
aise manzar mein ek makan bhi to ho
aks chehre se chhanTna hai agar
ek aaina darmiyan bhi to ho
sher bunden bane ghazal dhaara
fikr-e-'sabir' rawan-dawan bhi to ho

Ghazal
Abr ka sar pe saeban bhi to ho
Sabir Shah Sabir