abhi zamin ko haft aasman banana hai
isi jahan ko mujhe do-jahan banana hai
bhaTak raha hai akela jo koh-o-sahra mein
us ek aadmi ko karwan banana hai
ye shaKH-e-gul jo ghiri hai hazar kanTon mein
mujhe isi se naya gulistan banana hai
main jaanta hun mujhe kya banana hai lekin
wahan banane se pahle yahan banana hai
charagh le ke use shahr shahr DhunDhta hun
bas ek shaKHs mujhe raaz-dan banana hai
hamein bhi umr-guzari to karni hai 'akbar'
unhen bhi mashghala-e-dil-baran banana hai
Ghazal
Abhi zamin ko haft aasman banana hai
Akbar Hameedi