abhi tak un ke wahi sitam hain jafa ki KHu bhi nahin gai hai
wo ranjishen bhi nahin gai hain wo guftugu bhi nahin gai hai
nasheman apna uTha na yan se KHizan jo aai to aai bulbul
bahaar ruKHsat abhi hui hai gulon ki bu bhi nahin gai hai
gai jawani to jae dilbar mujhe hai ulfat hanuz baqi
wo iltija bhi nahin gai hai wo justuju bhi nahin gai hai
ye rashk-e-bulbul ki jaan dene ko tu abhi se taDap rahi hai
abhi to hai bu-e-gul chaman mein wo ku-ba-ku bhi nahin gai hai
'shabab' bosa liya jo main ne to kya bigaD kar wo shoKH bola
adab zara bhi nahin hai tujh ko haya to chhu bhi nahin gai hai

Ghazal
Abhi tak un ke wahi sitam hain jafa ki KHu bhi nahin gai hai
Shabab