abhi rang-e-rabt ayan hai qaus-e-KHayal se
mujhe aur upar uchhaal sath-e-visal se
tere shahparon mein zaman makan ke hain fasle
tu uqab hai to numud kar par-o-baal se
kabhi ban paDe to ye kar-e-KHair bhi kam nahin
kisi aaine ko bacha lun gard-e-malal se
mere husn-e-azmat-e-sabr-o-zabt ke nam hain
mujhe jo bhi pahunchin aziyyaten meri aal se
kai sar jhukenge meri ana ki shikast par
kai hashr jag uThenge mere zawal se
Ghazal
Abhi rang-e-rabt ayan hai qaus-e-KHayal se
Mohammad Ahmad Ramz