abhi purani diwaren mat Dhane do
pahle mujh ko duniya nai basane do
oDh liya hai main ne libaada shishe ka
ab mujh ko kisi patthar se Takrane do
paDh ke haqaeq kahin na andha ho jaun
mujh ko ab ho sake to kuchh afsane do
hai koi aisa jo duniya se Takkar le
hum ko dekho ek hum hain diwane do
nahin chahiye kuchh bhi hum durweshon ko
jis ka jo bhi kuchh hai use le jaane do
barson se bichhDa hua tera gham 'pashi'
aaj achanak mila hai gale lagane do
Ghazal
Abhi purani diwaren mat Dhane do
Kumar Pashi