abhi mujhe ek dasht-e-sada ki virani se guzarna hai
ek masafat KHatm hui hai ek safar abhi karna hai
giri hui diwaron mein jakDe se hue darwazon ki
KHakistar si dahlizon par sard hawa ne Darna hai
Dar jaana hai dasht-o-jabal ne tanhai ki haibat se
aadhi raat ko jab mahtab ne tariki se ubharna hai
ye to abhi aaghaz hai jaise is pinha-e-hairat ka
aankh ne aur sanwar jaana hai rang ne aur nikharna hai
jaise zar ki pilahaT mein mauj-e-KHun utarti hai
zahr-e-zar ke tund nashe ne dida-o-dil mein utarna hai
Ghazal
Abhi mujhe ek dasht-e-sada ki virani se guzarna hai
Muneer Niyazi