اردو हिंदी
Abhi makan main abhi su-e-la-makan hun main | Shaahi Shayari
abhi makan main abhi su-e-la-makan hun main

Ghazal

Abhi makan main abhi su-e-la-makan hun main

Fareed Javed

;

abhi makan main abhi su-e-la-makan hun main
tere KHayal teri dhun mein hun jahan hun main

kali kali mutabassim hai aarzuon ki
qadam qadam pe mohabbat mein kaamran hun main

nawa nawa mein meri zindagi machalti hai
rabab-e-husn-o-mohabbat pe naghma-KHwan hun main

mera tajassus-e-paiham hai zindagi-amoz
mujhe qarar nahin hai rawan-dawan hun main

jahan tamam agar mujh se sargiran hai to kya
ba-zat-e-KHud bhi to ek mustaqil jahan hun main

fana ki zad se hai mahfuz zindagi meri
shiar mera mohabbat hai jawedan hun main