abhi kam-sin hain malumat kitni
wo kitne aur un ki baat kitni
ye mere waste hai baat kitni
wo kahte hain teri auqat kitni
sahar tak haal kya hoga hamara
KHuda jaane abhi hai raat kitni
ye sar hai ye kaleja hai ye dil hai
wo lenge KHair se saughat kitni
tawajjoh se kabhi sun lo meri baat
jo tum chaho to ye hai baat kitni
tabiat kyun na apni muzmahil ho
rahi ye morid-e-afat kitni
gulistan fasl-e-gul mein luT raha hai
hina aai tumhaare hat kitni
hamare dil na dene par KHafa ho
luTate ho tumhin KHairaat kitni
karo shukr-e-sitam un ke sitam par
ki itni baat bhi hai baat kitni
jafa-o-qahr se waqif na tha main
baDhi ulfat mein malumat kitni
jafa wale hisab is ka laga len
wafa karta hun main din raat kitni
ibaadat hazrat-e-zahid karun main
magar ai qibla-e-hajat kitni
nahin rukte hamare ashk ai 'nuh'
ye tufan-KHez hai barsat kitni
Ghazal
Abhi kam-sin hain malumat kitni
Nooh Narvi