abhi jazba-e-shauq kaamil nahin hai
ki begana-e-arzu dil nahin hai
koi parda-e-raaz hail nahin hai
sitam hai wo phir bhi muqabil nahin hai
sar aankhon pe nairangi-e-bazm-e-alam
jise KHauf-e-gham ho ye wo dil nahin hai
masarrat-ba-daman hun sailab-e-gham mein
koi mauj mahrum-e-sahil nahin hai
mohabbat se bach kar kahan jaiyega
talatum hai aaghosh-e-sahil nahin hai
wo kis naz-o-andaz se kah rahe hain
'shakil' ab mohabbat ke qabil nahin hai

Ghazal
Abhi jazba-e-shauq kaamil nahin hai
Shakeel Badayuni