abhi hairat ziyaada aur ujala kam rahega
ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega
meri wahshat pe sahra tang hota ja raha hai
kaha to tha ye aangan la-mahaala kam rahega
bhala wo husn kis ki dastaras mein aa saka hai
ki sari umr bhi likkhen maqala kam rahega
bahut se dukh to aise bhi diye tum ne ki jin ka
mudawa ho nahin sakta izala kam rahega
wo chandi ka ho sone ka ho ya phir ho lahu ka
'salim' ahl-e-hawas ko har niwala kam rahega
Ghazal
Abhi hairat ziyaada aur ujala kam rahega
Saleem Kausar